The Mango Tree Café Bhubaneswar: Aam ke pedon ke beech ek sukoon bhari shaam

Kuchh jagahen sirf dekhne ke liye nahi hoti… Kuchh jagahen mehsoos karne ke liye hoti hain.

TRAVEL

Vandana Singh

9/14/20268 min read

Bhubaneswar के The Mango Tree Café का अनुभव जानिए—हरी-भरी प्रकृति, आम के पेड़, open-air seating
Bhubaneswar के The Mango Tree Café का अनुभव जानिए—हरी-भरी प्रकृति, आम के पेड़, open-air seating

Kuchh pal aise hote hain, jinhein hum jee to kuchh ghanton ke liye rahe hote hain, lekin unki khushboo aur unse judi chhoti-chhoti yaadein bahut lambe samay tak hamare saath rehti hain. Meri The Mango Tree Café, Bhubaneswar ki woh shaam bhi kuchh aisi hi thi.

Shehar ki bhaag-daud se thodi door, Old Chandaka Road ki taraf badhte hue jab main is café tak pahunchi, to mujhe bilkul andaaza nahi tha ki agle kuchh ghante itne sukoon bhare hone wale hain.

Aasmaan par baarish ke baadal jaise abhi-abhi apna man halka karke gaye the. Sadak ke aaspaas ki hariyali dhuli-dhuli si lag rahi thi aur hawa mein baarish ke baad mitti aur patton ki woh khaas-si khushboo ghuli hui thi… Wahi khushboo, jo achanak bachpan ki kisi barsaati dopahar mein le jaati hai aur phir saamne tha—The Mango Tree Café.

Naam padhte hi man mein aam ke ped ki tasveer banti hai, lekin yahan pahunchkar laga ki café ne apne naam ko sirf naam ki tarah nahi, balki apni poori pehchaan ka hissa bana liya hai.

Is café ki khaasiyat: shehar mein rehte hue bhi shehar se thodi doori…

Aaj ki zindagi mein hum sab kahin na kahin bahut jaldi mein hain. Subah jaldi uthna, kaam, ghar, zimmedariyan, phone calls, messages aur lagataar chalti notifications… din kab start hota hai aur kab end, kai baar pata hi nahi chalta.

Aise mein jab weekend plan ke baare mein koi poochta hai—“Weekend par kahan chalein?” to shayad hamara man kisi aisi jagah ki talaash karta hai jahan kuchh ghanton ke liye zindagi thodi slow ho jaaye.

The Mango Tree Café mere liye kuchh aisa hi experience lekar aaya. Yahan pahunchte hi sabse pehle jo cheez mehsoos hoti hai, woh hai greenery aur openness.

Chaaron or ped-paudhe aur unke beech bana café… aisa laga jaise kisi café mein nahi, balki nature ke god mein base kisi jagah mein entry kar rahi hoon.

Is café ki sabse khoobsurat cheezon mein se ek hai iska central open area, jahan ek bada-sa aam ka ped khada hai. Uske aaspaas tables aur chairs lagi hui hain.

Sochiye…Aap ek comfortable chair par baithe hain. Upar aam ke ped ki shaakhaayein hain. Hawa dheere-dheere chal rahi hai. Paas ke pedon se patton ki halki awaaz aa rahi hai. Saamne aapki pasand ka khaana rakha hai aur saath mein koi apna baitha hai, jisse aap bina ghadi dekhe chai ki chuski ke saath baatein kar rahe hain. Kya sukoon ke liye isse zyada kuch chahiye? Shayad nahi. Aapka to mujhe pata nahi, par mere liye to yeh kisi jannat mein waqt bitaane jaisa tha.

Kabhi-kabhi humein happiness ke liye kisi bahut bade destination ki zarurat nahi hoti. Ek good place, nice weather aur apne logon ka saath bhi kaafi hota hai.

Baarish ke baad ki woh khushboo…

Meri visit ke dauran baarish abhi-abhi hui thi. Baarish ke baad ki mitti ki khushboo mein kuchh aisa jaadu hota hai jise shabdon mein poori tarah baandh paana mushkil hai.

Geele patton se aati khushboo, hawa mein thandak aur pedon par thahri hui baarish ki boondein… sab kuchh itna taaza lag raha tha jaise nature ne abhi-abhi khud ko dhokar naya kar liya ho.

Aise mahaul mein café ka khaana, chai aur bhi achchhe lag rahe the. Shayad swaad sach mein wahi tha… ya shayad mahaul ne swaad mein apne hisse ki mithaas mila di thi. Kaun jaane?

Lekin itna zaroor hai ki us shaam har cheez thodi zyada achhi lag rahi thi.

The Mango Tree Café ki Seating:

Agar aap soch rahe hain ki yahan sirf outdoor seating hi milegi, to aisa nahi hai. The Mango Tree Café mein alag-alag tarah ke seating options dekhne ko milte hain.

🌿 Open-air seating

Agar aapko prakriti ke beech baithna pasand hai, to open-air seating is café ki sabse khaas attractions mein se ek hai. Aam ke pedon ke beech baithne ka apna hi charm hai.

❄️ AC Seating

Agar aap indoor comfort pasand karte hain ya mausam ke hisaab se baahar baithna comfortable nahi lagta, to AC seating ka option bhi available hai.

🛖 Bamboo aur Hut-style seating

Mujhe café ki bamboo aur ghaas-phoos se bani hut-style seating bhi kaafi interesting lagi. Yeh café ko natural look deti hai.

Is hut style seating spaces mein baithkar kuchh der ke liye aisa lagta hai jaise shehar se door kisi countryside café mein aa gaye hon.

Kisi café ki khoobsurti sirf uske furniture ya decoration se tay nahi hoti. Kabhi-kabhi prakriti khud uska sabse khoobsurat decoration ban jaati hai. The Mango Tree Café ki hariyali ke beech mere aaspaas titliyon ka athkheliyan karna mere liye kabhi na bhulne wali ek behad khoobsurat yaad hai.

Sochiye… ek taraf aap apne doston se baatein kar rahe hon aur doosri taraf koi rang-birangi titli paas ke phoolon ke aaspaas mandra rahi ho—aise chhote-chhote moments hi kisi jagah ki yaadon ko khaas bana dete hain.

Shayad yahi kaaran hai ki yeh jagah un logon ko pasand aa sakti hai jo nature ke kareeb baithkar café experience lena pasand karte hain.

Aajkal hum artificial décor se itne ghire rehte hain ki prakriti ki chhoti-si cheez bhi achanak bahut khaas lagne lagti hai.

Ek titli aapke paas se udkar chali jaaye…

Ped se koi patta dheere se gir jaaye…

Hawa achanak aapke baalon ko chhookar nikal jaaye…

Ye bahut chhoti baatein hain. Lekin sukoon hamesha chhoti baaton mein hi chhipa hota hai.

The Mango Tree Café Food Experience:

Ab aate hain café ke doosre important part par— Food.

Kisi bhi café ka ambience kitna bhi khoobsurat kyon na ho, agar khaana achchha na ho to experience adhoora-sa lagta hai.

Humne yahan four food items aur six beverages order kiye. Hamara kul bill ₹1500 ke andar aaya.

Mere hisaab se group outing ke liye yeh spending reasonable lagi. Haalanki café ke menu aur prices samay ke saath badal sakte hain, isliye jaane se pehle current menu aur pricing confirm kar lena behtar rahega.

Lekin us din mere liye food ki sabse achchhi baat sirf uska taste nahi tha… woh tha jis mahaul mein hum khaana kha rahe the.

Kyonki wahi khaana kisi band kamre mein shayad sirf ek meal hota… lekin aam ke ped ke neeche, baarish ke baad ki hawa mein, apnon ke saath baithkar wahi khaana ek experience ban gaya.

Agar aap Bhubaneswar mein koi aisa eco-friendly café dhoondh rahe hain jahan friends ya family ke saath kuchh ghante bitaaye ja saken, to The Mango Tree Café ko explore kiya ja sakta hai.

Is jagah ke baare mein apne anubhav se kehna chahti hoon… yahan paise spend karne se zyada important laga samay spend karna. Kuchh ghante bina kisi jaldi ke. Kuchh baatein bina kisi topic ke. Kuchh hansi bina kisi wajah ke aur shayad yahi kisi café ki asli keemat hai.

Friends, Family ya Date: Kis ke saath jaayen?

The Mango Tree Café ka ambience kaafi relaxed hai, isliye yahan alag-alag tarah ki outings plan ki ja sakti hain.

❤️ Couple ke saath

Agar aapko loud music aur bahut formal restaurant ki jagah nature ke beech shaant aur casual time pasand hai, to yeh ek option ho sakta hai.

👨‍👩‍👧‍👦 Family ke saath

Open space aur alag-alag seating options family outing ke liye bhi ise interesting banate hain.

🧑‍🤝‍🧑 Doston ke saath

Aur doston ke saath to aisi jagahon ka mazaa hi alag hai.

Ek table… kai cup chai ya coffee… dher saari baatein…

Aur purane kisson par baar-baar wahi hansi.

📸 Instagram Lovers ke liye:

Greenery, mango trees aur bamboo-style seating photos aur reels ke liye bhi natural background de sakte hain.

Lekin meri salah hai—pehle us pal ko mehsoos kijiye, phir camera nikaaliye.

Kyonki har khoobsurat pal ko photograph karna zaroori nahi.

Kuchh pal sirf dil mein save karne ke liye hote hain.

Bhubaneswar mein ek alag tarah ka Café Experience:

Bhubaneswar ko temples, history aur modern city life ke liye jaana jaata hai. Lekin shehar ki khoobsurti ka ek aur pehlu bhi hai—uski greenery aur aise chhote-chhote spaces jahan aap shehar ki speed se thoda baahar nikal sakte hain. The Mango Tree Café usi tarah ki jagah lagi. Yeh koi aisi jagah nahi jahan aapko bahut elaborate luxury ya chamak-damak mile.

Iski khoobsurti hai… prakritik saadgi ke beech khulapan aur thaharaav. Isi wajah se yeh jagah yaad reh jaati hai.

Kabhi-kabhi humein tez bhaagti zindagi mein koi mahanga ya door ka destination nahi, bas ek pause chahiye. Har baar sukoon paane ke liye shehar se baahar jaana zaroori nahi hai. Kabhi-kabhi usi shehar ka ek chhota-sa café, jahan ek aam ka ped aapka chhata ban jaata hai. Baarish ke baad ki mitti perfume ban jaati hai. Ek cup chai therapy jaisa lagne lagta hai aur saath baithe log… aapki sabse khoobsurat company.

The Mango Tree Café ne mujhe bas yahi yaad dilaya ki zindagi ki khoobsurti hamesha bade moments mein nahi hoti, kabhi-kabhi woh apnon ke saath bitaayi ek chhoti-si shaam mein hoti hai.

The Mango Tree Café Bhubaneswar – Meri yaad mein:

Agar mujhe is café ki poori shaam ko describe karna ho, to shayad main kahungi—Baarish ke baad ki khushboo aaj bhi yaad hai. Aam ke ped ki chhaav yaad hai. Khule aasmaan ke neeche baithna yaad hai. Titliyon ka aaspaas mandrana yaad hai.

Aur sabse zyada… woh feeling yaad hai jab kuchh der ke liye laga tha ki waqt sach mein thoda tham gaya hai.

Shayad isi ko kehte hain—Ek khoobsurat jagah se zyada, ek khoobsurat ehsaas lekar lautna.

The Mango Tree Café Bhubaneswar – Basic Details:

📍 Naam: The Mango Tree Café

📍 Address: Lifestyle Orchid Apartment, Near Old Patharagadia Road, Bhubaneswar, Odisha – 754012

⏰ Timing: Lagbhag 11:00 AM se 10:00 PM
(Meri uplabdh jaankari ke anusaar; visit se pehle current timing confirm kar lein.)

🌿 Seating: Open-air, mango tree seating, AC seating aur bamboo/hut-style seating

💰 Hamara anubhav: 4 food items + 6 beverages ka bill ₹1500 ke andar aaya tha. Current prices badal sakte hain.

Chalte-chalte Baatein Dil Se —

Agar aap Bhubaneswar mein koi aisa nature café, open-air café ya peaceful café dhoondh rahe hain jahan doston ya parivaar ke saath kuchh sukoon bhare pal bitaaye ja saken, to The Mango Tree Café ko apni list mein rakh sakte hain.

Lekin wahan jaayen to sirf khaana khaane mat jaiye. Thoda samay lekar jaiye. Pedon ko dekhiye, hawa ko mehsoos kijiye, apne saath baithe logon se baatein kijiye. Agar baarish ke baad ka mausam mil jaaye… to us shaam ko thoda aur jee lijiye. Kyonki zindagi mein kuchh shaamein calendar mein nahi milti… woh bas achanak mil jaati hain aur phir bahut dinon tak yaad rehti hain.

The Mango Tree Café ki woh shaam mere liye aisi hi ek shaam thi—jahan ek cup chai se zyada, ek café visit se zyada, mujhe mila… thoda-sa sukoon. ❤️

💖💖💖💖💖💖💖💖💖💖💖💖💖💖💖💖💖💖💖💖💖💖💖💖💖💖💖💖💖💖💖💖💖💖💖💖💖💖💖💖💖💖💖💖💖💖💖💖💖💖💖💖💖💖💖💖💖💖💖

Hindi

The Mango Tree Café Bhubaneswar: आम के पेड़ों के बीच एक सुकून भरी शाम

कुछ जगहें सिर्फ देखने के लिए नहीं होतीं…
कुछ जगहें महसूस करने के लिए होती हैं।

कुछ पल ऐसे होते हैं, जिन्हें हम जी तो कुछ घंटों के लिए रहे होते हैं, लेकिन उनकी खुशबू और उनसे जुड़ी छोटी-छोटी यादें बहुत लंबे समय तक हमारे साथ रहती हैं। मेरी The Mango Tree Café, Bhubaneswar की वह शाम भी कुछ ऐसी ही थी।

शहर की भागदौड़ से थोड़ी दूर, पुराने Chandaka Road की तरफ बढ़ते हुए जब मैं इस café तक पहुँची, तो मुझे बिल्कुल अंदाज़ा नहीं था कि अगले कुछ घंटे इतने सुकून भरे होने वाले हैं।

आसमान पर बारिश के बादल जैसे अभी-अभी अपना मन हल्का करके गए थे। सड़क के आसपास की हरियाली धुली-धुली सी लग रही थी और हवा में बारिश के बाद मिट्टी और पत्तों की वह खास-सी खुशबू घुली हुई थी…वही खुशबू, जो अचानक बचपन की किसी बरसाती दोपहर में ले जाती है और फिर सामने था—The Mango Tree Café।

नाम पढ़ते ही मन में आम के पेड़ की तस्वीर बनती है, लेकिन यहाँ पहुँचकर लगा कि café ने अपने नाम को सिर्फ नाम की तरह नहीं, बल्कि अपनी पूरी पहचान का हिस्सा बना लिया है।

इस café की खासियत: शहर में रहते हुए भी शहर से थोड़ी दूरी…

आज की जिंदगी में हम सब कहीं न कहीं बहुत जल्दी में हैं। सुबह जल्दी उठना, काम, घर, जिम्मेदारियाँ, phone calls, messages और लगातार चलती notifications…दिन कब शुरू होता है और कब खत्म, कई बार पता ही नहीं चलता। ऐसे में जब weekend plan के बारे में कोई पूछता है—“Weekend पर कहाँ चलें?” तो शायद हमारा मन किसी ऐसी जगह की तलाश करता है जहाँ कुछ घंटों के लिए जिंदगी थोड़ी धीमी हो जाए।

The Mango Tree Café मेरे लिए कुछ ऐसा ही अनुभव लेकर आया। यहाँ पहुँचते ही सबसे पहले जो चीज महसूस होती है, वह है हरियाली और खुलापन। चारों ओर पेड़-पौधे और उनके बीच बना café…ऐसा लगा जैसे किसी café में नहीं, बल्कि प्रकृति के गोद में बसे किसी खूबसूरत जगह में प्रवेश कर रही हूँ।

इस café की सबसे खूबसूरत चीजों में से एक है इसका central open area, जहाँ एक बड़ा-सा आम का पेड़ खड़ा है। उसके आसपास टेबल और कुर्सियाँ लगी हुई हैं।

सोचिए…आप एक आरामदायक कुर्सी पर बैठे हैं। ऊपर आम के पेड़ की शाखाएँ हैं। हवा धीरे-धीरे चल रही है। पास के पेड़ों से पत्तों की हल्की आवाज आ रही है। सामने आपकी पसंद का खाना रखा है और साथ में कोई अपना बैठा है, जिससे आप बिना घड़ी देखे चाय की चुस्की के साथ बातें कर रहे हैं। क्या सुकून के लिए इससे ज्यादा कुछ चाहिए? शायद नहीं। आपका तो मुझे पता नहीं पर मेरे लिए तो यह किसी जन्नत में वक़्त बिताने जैसा था।

कभी-कभी हमें खुशी के लिए किसी बहुत बड़े destination की जरूरत नहीं होती। एक अच्छी जगह, अच्छा मौसम और अपने लोगों का साथ भी काफी होता है।

बारिश के बाद की वह खुशबू…

मेरी visit के दौरान बारिश अभी-अभी हुई थी। बारिश के बाद की मिट्टी की खुशबू में कुछ ऐसा जादू होता है जिसे शब्दों में पूरी तरह बाँध पाना मुश्किल है। गीले पत्तों से आती खुशबू, हवा में ठंडक और पेड़ों पर ठहरी हुई बारिश की बूँदें…सब कुछ इतना ताजा लग रहा था जैसे प्रकृति ने अभी-अभी खुद को धोकर नया कर लिया हो।

ऐसे माहौल में café का खाना, चाय और भी अच्छे लग रहे थे। शायद स्वाद सच में वही था…या शायद माहौल ने स्वाद में अपने हिस्से की मिठास मिला दी थी। कौन जाने? लेकिन इतना जरूर है कि उस शाम हर चीज थोड़ी ज्यादा अच्छी लग रही थी।

The Mango Tree Café की Seating:

अगर आप सोच रहे हैं कि यहाँ सिर्फ outdoor seating ही मिलेगी, तो ऐसा नहीं है। The Mango Tree Café में अलग-अलग तरह के seating options देखने को मिलते हैं।

🌿 Open-air seating

अगर आपको प्रकृति के बीच बैठना पसंद है, तो open-air seating इस café की सबसे बड़ी खासियत में से एक है। आम के पेड़ों के बीच बैठने का अपना ही मज़ा है।

❄️ AC Seating

अगर आप indoor comfort पसंद करते हैं या मौसम के हिसाब से बाहर बैठना आरामदायक नहीं लगता, तो AC seating का option भी मौजूद है।

🛖 बांस और झोंपड़ीनुमा seating

मुझे café की bamboo और घास-फूस से बनी hut-style seating भी काफी interesting लगी। यह café को प्राकृतिक रूप देता है। इन छोटी-सी झोपड़ीनुमा seating spaces में बैठकर कुछ देर के लिए ऐसा लगता है जैसे शहर से दूर किसी countryside café में आ गए हों।

किसी café की खूबसूरती सिर्फ उसके फर्निचर या सजावट से तय नहीं होती। कभी-कभी प्रकृति खुद उसका सबसे खूबसूरत decoration बन जाती है। The Mango Tree Café की हरियाली के बीच मेरे आसपास तितलियों का अठखेलियाँ करना भी मेरे लिए कभी ना भूलने वाली एक बेहद खूबसूरत याद है।

सोचिए.... एक तरफ आप अपने दोस्तों से बातें कर रहे हों और दूसरी तरफ कोई रंग-बिरंगी तितली पास के फूलों के आसपास मंडरा रही हो—ऐसे छोटे-छोटे पल ही किसी जगह की यादों को खास बना देते हैं। शायद यही कारण है कि यह जगह उन लोगों को पसंद आ सकती है जो प्रकृति के करीब बैठकर café experience लेना पसंद करते हैं।

आजकल हम artificial décor से इतने घिरे रहते हैं कि प्रकृति की छोटी-सी चीज भी अचानक बहुत खास लगने लगती है।

एक तितली आपके पास से उड़कर चली जाए…

पेड़ से कोई पत्ता धीरे से गिर जाए…

हवा अचानक आपके बालों को छूकर निकल जाए…

ये बहुत छोटी बातें हैं। लेकिन सुकून हमेशा छोटी बातों में ही छिपा होता है।

The Mango Tree Café के खाने का अनुभव:

अब आते हैं café के दूसरे महत्वपूर्ण हिस्से पर—खाना।

किसी भी café का ambience कितना भी खूबसूरत क्यों न हो, अगर खाना अच्छा न हो तो experience अधूरा-सा लगता है।

हमने यहाँ चार food items और छह beverages order किए। हमारा कुल bill ₹1500 के अंदर आया। मेरे हिसाब से group outing के लिए यह spending reasonable लगी। हालाँकि café के menu और prices समय के साथ बदल सकते हैं, इसलिए जाने से पहले current menu और pricing confirm कर लेना बेहतर रहेगा।

लेकिन उस दिन मेरे लिए खाने की सबसे अच्छी बात सिर्फ उसका स्वाद नहीं था.. वह था जिस माहौल में हम खाना खा रहे थे।

क्योंकि वही खाना किसी बंद कमरे में शायद सिर्फ एक meal होता…लेकिन आम के पेड़ के नीचे, बारिश के बाद की हवा में, अपनों के साथ बैठकर वही खाना एक experience बन गया। अगर आप Bhubaneswar में कोई ऐसा eco-friendly café ढूँढ रहे हैं जहाँ दोस्तों या परिवार के साथ कुछ घंटे बिताए जा सकें, तो The Mango Tree Café को एक्सप्लोर किया जा सकता है।

इस जगह के बारे में अपने अनुभावे से कहना चाहती हूँ.... यहाँ पैसे खर्च करने से ज्यादा महत्वपूर्ण लगा समय खर्च करना। कुछ घंटे बिना किसी जल्दी के। कुछ बातें बिना किसी टॉपिक के। कुछ हँसी बिना किसी वजह के। शायद यही किसी café की असली कीमत है।

Friends, Family या Date: किसके साथ जाएँ?

The Mango Tree Café का ambience काफी relaxed है, इसलिए यहाँ अलग-अलग तरह की outings plan की जा सकती हैं।

❤️ Couple के साथ

अगर आपको loud music और बहुत formal restaurant की बजाय प्रकृति के बीच शांत और casual time पसंद है, तो यह एक option हो सकता है।

👨‍👩‍👧‍👦 Family के साथ

Open space और अलग-अलग seating options family outing के लिए भी इसे interesting बनाते हैं।

🧑‍🤝‍🧑 दोस्तों के साथ

और दोस्तों के साथ तो ऐसी जगहों का मजा ही अलग है। एक टेबल…कई कप चाय या कॉफी…ढेर सारी बातें…

और पुराने किस्सों पर बार-बार वही हँसी।

📸 Instagram Lovers के लिए:

हरियाली, आम के पेड़ और bamboo-style seating फोटो और रील के लिए भी natural background दे सकते हैं। लेकिन मेरी सलाह है—पहले उस पल को महसूस कीजिए, फिर कैमरा निकालिए।

क्योंकि हर खूबसूरत पल को photograph करना जरूरी नहीं।

कुछ पल सिर्फ दिल में save करने के लिए होते हैं।

Bhubaneswar में एक अलग तरह का Café Experience:

Bhubaneswar को मंदिरों, इसके इतिहास और मॉडर्न शहरी जीवन के लिए जाना जाता है। लेकिन शहर की खूबसूरती का एक और पहलू भी है—उसकी हरियाली और ऐसे छोटे-छोटे जगह, जहाँ आप शहर की भागदौड़ से थोड़ा बाहर निकल सकते हैं। The Mango Tree Café उसी तरह की जगह लगी। यह कोई ऐसी जगह नहीं जहाँ आपको बहुत elaborate luxury या अत्यधिक चमक-दमक मिले। इसकी खूबसूरती है.... प्राकृतिक सादगी के बीच खुलापन और ठहराव। इसी वजह से यह जगह याद रह जाती है।

कभी-कभी हमें तेज भागती ज़िंदगी में कोई महंगा या दूर का destination नहीं, बस एक ठहराव चाहिए। जिसके लिए कोई vacation plan या हर बार सुकून पाने के लिए शहर से बाहर जाना जरूरी नहीं है। कभी-कभी उसी शहर का एक छोटा-सा café, जहाँ एक आम का पेड़ आपका छाता बन जाता है। बारिश के बाद की मिट्टी perfume बन जाती है। एक कप चाय therapy जैसा लगने लगता है, और साथ बैठे लोग… आपके सबसे खूबसूरत साथी।

The Mango Tree Café ने मुझे बस यही याद दिलाया कि जिंदगी की खूबसूरती हमेशा बड़े लम्हों में नहीं होती, कभी-कभी वह अपनों के साथ बिताए एक छोटी-सी शाम में होती है।

The Mango Tree Café Bhubaneswar – मेरी याद में:

अगर मुझे इस café की पूरी शाम का वर्णन करना हो, तो शायद मैं कहूँगी— बारिश के बाद की वो खुशबू आज भी याद है….. आम के पेड़ की छाँव याद है…..खुले आसमान के नीचे बैठना याद है…..तितलियों का आस-पास मंडराना याद है और सबसे ज्यादा…वह एहसास याद है जब कुछ देर के लिए लगा था कि वक्त सच में थोड़ा थम गया है। शायद इसी को कहते हैं—एक खूबसूरत जगह से ज्यादा, एक खूबसूरत एहसास लेकर लौटना।

The Mango Tree Café Bhubaneswar – Basic Details:

📍 नाम: The Mango Tree Café

📍 Address: Lifestyle Orchid Apartment, Near Old Patharagadia Road, Bhubaneswar, Odisha – 754012

⏰ Timing: लगभग 11:00 AM से 10:00 PM (मेरी उपलब्ध जानकारी के अनुसार; visit से पहले current timing confirm कर लें।)

🌿 Seating: Open-air, mango tree seating, AC seating और bamboo/hut-style seating

💰 हमारा अनुभव: 4 food items + 6 beverages का bill ₹1500 के अंदर आया था। Current prices बदल सकते हैं।

चलते-चलते Baatein Dil Se —

अगर आप Bhubaneswar में कोई ऐसा nature café, open-air café या peaceful café ढूँढ रहे हैं जहाँ दोस्तों या परिवार के साथ कुछ सुकून भरे पल बिताए जा सकें, तो The Mango Tree Café को अपनी list में रख सकते हैं। लेकिन वहाँ जाएँ तो सिर्फ खाना खाने मत जाइए। थोड़ा समय लेकर जाइए। पेड़ों को देखिए, हवा को महसूस कीजिए, अपने साथ बैठे लोगों से बातें कीजिए। अगर बारिश के बाद का मौसम मिल जाए…तो उस शाम को थोड़ा और जी लीजिए क्योंकि जिंदगी में कुछ शामें calendar में नहीं मिलतीं…वे बस अचानक मिल जाती हैं और फिर बहुत दिनों तक याद रहती हैं।

The Mango Tree Café की वह शाम मेरे लिए ऐसी ही एक शाम थी—जहाँ एक कप चाय से ज्यादा, एक café visit से ज्यादा, मुझे मिला…थोड़ा-सा सुकून।❤️

The Mango Tree Café Bhubaneswar ka detailed experience
The Mango Tree Café Bhubaneswar ka detailed experience